meri aankhon mein aa dil mein utar paiwand-e-jaan ho ja
By ahmad-shanasMay 26, 2024
meri aankhon mein aa dil mein utar paiwand-e-jaan ho ja
main benam-o-nishan hun tu mera nam-o-nishan ho ja
kabhi to aakhir-e-shab phul sa khil mere aangan mein
kabhi mere nawah-e-jism mein khushbu-e-jaan ho ja
tu mere dasht-e-harf-o-saut ko barg-e-khamoshi de
tu meri aankh mein gum-gashta-e-hairat-nishan ho ja
magar ye zat ka ban-bas kab tak bhogna hoga
kisi parbat ke pichhe se bula
kuchh mehrban ho ja
meri raaton ko qatra qatra shabnam bantne wale
kabhi manind-e-dariya meri aankhon se rawan ho ja
wo dekho kahkashan sa ek jazira muntazir apna
mujhe nayya bana apni tu mera baadban ho ja

60112 viewsghazal • English