meri aankhon mein aa gae aansu

By rohit-gaur-ruuhJanuary 4, 2024
meri aankhon mein aa gae aansu
yaad aaya wo ga gae aansu
phir jo ek silsila chala na thama
aaj tufan macha gae aansu


aag se khelne ka tha shauqin
jism mera jala gae aansu
hain purane ye dost yar mere
raat yari nibha gae aansu


ruh ki chah khatm hi thi par
aas phir se jaga gae aansu
27110 viewsghazalEnglish