meri aankhon mein wo aaya mujhko tar karne laga

By salim-saleemFebruary 28, 2024
meri aankhon mein wo aaya mujh ko tar karne laga
sab 'ilaqe khwab ke zer-o-zabar karne laga
ek din wo bhi nikal aaya bhare bazar se
rafta rafta main bhi tanhai ko ghar karne laga


yun hua us ne bas apne panw ki jhadi thi dhul
main to us kuche mein phir sham-o-sahar karne laga
kis ke nakhun ne khurach dala hai sare jism ko
kaun hai jo meri diwaron mein dar karne laga


bas kisi ko sans ke qarze chukane the mujhe
zindagi karni na thi mujh ko magar karne laga
58272 viewsghazalEnglish