meri buniyaad ko tamir se pahchana jae

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
meri buniyaad ko ta'mir se pahchana jae
mujh ko 'ujlat nahin takhir se pahchana jae
main kai shakl mein rahta hun badan par apne
mera chehra meri tahrir se pahchana jae


koi samjhe meri khamosh nigahon ki sada
dard mera meri taswir se pahchana jae
aankh ka dekha hua jhuth bhi ho sakta hai
khwab ko khwab ki ta'bir se pahchana jae


main ne pani ke liye ret udai hai bahut
meri taqdir ko tadbir se pahchana jae
mere kandhe se utare na koi meri salib
jurm mera meri ta'zir se pahchana jae


is andhere mein ye jhankar hai sham'on ki tarah
ya'ni mujh ko meri zanjir se pahchana jae
mera sab kuchh mere mazi ke hawale se hai
mere mangal ko mere pir se pahchana jae


99837 viewsghazalEnglish