meri chiKHon se kamra bhar gaya tha

By yasir-khanNovember 26, 2020
meri chikhon se kamra bhar gaya tha
koi kal raat mujh mein mar gaya tha
bahut mushkil hai us ka laut aana
wo puri baat kab sun kar gaya tha


mujhe pahchanta bhi hai koi ab
main bas ye dekhne hi ghar gaya tha
zamana jis ko dariya kah raha hai
hamari aankh se bah kar gaya tha


kai sadiyon se sukha pad raha hai
yahan ek shakhs pyasa mar gaya tha
hamara bojh tha sar par hamare
tumhaare sath to naukar gaya tha


ye mat samjha khata kis se hui thi
bata ilzam kis ke sar gaya tha
24319 viewsghazalEnglish