meri dahliz tak jo aa na saka
By ahmad-muneebDecember 29, 2020
meri dahliz tak jo aa na saka
main abhi tak use bhula na saka
zindagi khak mein milai gai
aashiqi khak mein mila na saka
jo mujhe muflisi dikhata raha
main use muflisi dikha na saka
baad us ke main muskuraata raha
baad us ke main khilkhila na saka
tum meri bebasi ko kya jaano
main use khwab tak dikha na saka
dukh to ye hai mujhe munib ahmad
main use shairi suna na saka
main abhi tak use bhula na saka
zindagi khak mein milai gai
aashiqi khak mein mila na saka
jo mujhe muflisi dikhata raha
main use muflisi dikha na saka
baad us ke main muskuraata raha
baad us ke main khilkhila na saka
tum meri bebasi ko kya jaano
main use khwab tak dikha na saka
dukh to ye hai mujhe munib ahmad
main use shairi suna na saka
36854 viewsghazal • English