meri dastan-e-ghazal ne ab mere gham sabhi ko bata diye jo chhupa rahi thi main ab talak wahi raaz-e-dil lo dikha diye bhala ghumti main kahan kahan liye zakhm-e-dil tere nam ke mere ashk-e-chashm charagh ne tere sare khat hi jala diye hai bahaar gum hai faza bhi chup hain chaman se dur wo titliyan ki taraqqiyon ne dayar se wo hasin ganw mita diye main to bantti rahi pothiyan jo likhin thin tere visal mein ki udasiyon ke hisab mein tu ne kyon makan jala diye kai bar soch ke yun laga mere hath mein tera hath hai jo haqiqaton ke diye jale to mohabbaton ke bujha diye kahin kho gai hai jo sans hi to dhadak ke dil ye kare bhi kya kisi be-wafa ki 'kashish' ke gham rah-e-ba-wafa pe bhula diye