meri dastaras mein hai gar qalam mujhe husn-e-fikr-o-khayal de mujhe shahryar-e-sukhan bana aur enan-e-shahr-e-kamal de meri shakh-e-sher rahe hari de mere sukhan ko sanobari meri jhil mein bhi kanwal khila meri guddiyon ko bhi lal de teri bakhshishon mein hai sarwari mere ishq ko de qalandari jo uthe to dast-e-dua lage mujhe aisa dast-e-sawal de rag-e-jaan mein jamne laga lahu use mushk banne ki aarzu hai udas dasht-e-tatar-e-dil use phir shalang-e-ghazal de koi baat aqrab-o-shams ki koi zikr-e-zohra-o-mushtari tu bada sitara-shanas hai mujhe koi achchhi si fal de hain ye jism-o-jaan ki quyud kya khad-o-khal ke ye hudud kya main hun aks-e-manzar-e-mawara mujhe aainon se nikal de main wahi hun 'tishna'-e-ba-wafa mera aaj bhi wahi muddaa na firaq de mujhe mustaqil na mujhe hamesha visal de