meri jaanib wo khalis shorba sarkae jate hain magar khud murgh par apna karam farmae jate hain kaha tha doctor ne bach ke rahna khush-khuraki se magar tauba wo baithe hain to ab tak khae jate hain chale aao mulaqaton ki garmi sath mein le kar kahan ho tum yahan hum june mein thandae jate hain unhin se ho gaya rishta hamara thik hai lekin na jaane phir bhi kyon chakkar pe chakkar aae jate hain sadak par aate jate sab unhen pahchan lete the na ab mashuq hi waise na aashiq pae jate hain bharosa hai wafadari pe un ki kah diya phir bhi qasam wo hath mere sar pe rakh kar khae jate hain jawani un ko ghar mein chain se rahne nahin deti miyan 'masrur' hi mujrim magar thahrae jate hain