meri jabin ka muqaddar kahin raqam bhi to ho main kis ko samne rakhun koi sanam bhi to ho kiran kiran tera paikar kali kali chehra ye lakht lakht badan ab kahin baham bhi to ho mere nasib mein aakhir khala-nawardi kyun meri zamin hai to us par mera qadam bhi to ho har ek shakhs ne katba utha rakha hai yahan kisi ke hath mein aakhir koi alam bhi to ho guzar lamhe sahifa ba-dast utrenge tere nasib mein faizan-e-chashm-e-nam bhi to ho bas ab to chhed de ai mutriba ghazal koi tarab-kade mein wo shahzadi-e-alam bhi to ho 'rashid' lab pe hansi hai to aankh nam kar le nai khushi ke muqabil purana gham bhi to ho