meri KHata sar-e-mahfil talash karta hai

By hassaan-arfiOctober 31, 2020
meri khata sar-e-mahfil talash karta hai
bahana qatl ka qatil talash karta hai
chubho ke tanz ke neze hamari rag rag mein
wo shiddat-e-khalish-e-dil talash karta hai


chaman jala ke parindon ka kar ke qatl-e-am
wo naghma-ha-e-anadil talash karta hai
rumuz-e-naqd-o-nazar se jo aashna bhi nahin
ghazal mein naqs wo jahil talash karta hai


wo khun-e-hasrat-e-dil se nawaz kar aansu
lahu ka rang bhi shamil talash karta hai
mizha pe ijz ke tare liye hue 'hassan'
dar ek sajde ke qabil talash karta hai


63903 viewsghazalEnglish