meri nakaam chaalon par wo aise muskuraata hai
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
meri nakaam chaalon par wo aise muskuraata hai
ki goya zakham deta hai wo phir marham lagata hai
wo hathon ki lakiren dekh kar qismat batata hai
tasawwur mein umidon ka hasin dipak jalata hai
kisi ko qatl karne ka hunar bhi khub aata hai
wo apni zulf mein ek lam sa khanjar banata hai
amir-e-shahr ye puchhe kisi muflis ke bachche se
kitaben bech kar kaise wo apna ghar chalata hai
agar hai hausla 'ahmar' to manzil ki taraf dekho
wagarna shauq bhi raste mein himmat haar jata hai

95632 viewsghazal • English