meri nazar ka nahin mere dil ka dhoka tha

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
meri nazar ka nahin mere dil ka dhoka tha
wo to nahin tha koi aur tere jaisa tha
jo chhan se tut gaya kya tha dekhna hoga
wo khwab tha ki mera dil ki koi shisha tha


amir log kharidar ban ke aae the
mujhe kisi ne kharida nahin ki sasta tha
siyah chashme ke pichhe se main ne sab dekha
tamam log samajhte rahe main andha tha


samajh mein aai hai ab ja ke us ko qadr meri
usi ne mujh ko kharida ki jis ne becha tha
zamin pe aaj talak main pahunch nahin paya
kisi ne itni bulandi se mujh ko phenka tha


kuchh aur samjha gaya us ke har ishaare ko
gawah qatl ka mere 'kamal' gunga tha
77228 viewsghazalEnglish