meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagate raho
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagate raho
kaifiyat dil ki zahir kisi par na ho gham khushi ki jhalak mein chhupate raho
dagmagane na do hauslon ke qadam apni himmat ka rakhna hai tum ko bharam
bijliyan aashiyana jalati rahen tum naya aashiyana banate raho
kar den viran na ye amn ki bastiyan bughz-o-nafrat ki ye sar-phiri aandhiyan
in ko rakhna hai tum ko jo auqat mein tum charagh-e-mohabbat jalate raho
kya khabar kya hain aisi bhi majburiyan badh gain khuni rishton mein bhi duriyan
dosto ye taqaza hai haalat ka duriyan tum dilon ki mitate raho
sar kate ya rahe is ka gham na karo zulm ke samne tum kahin na jhuko
jo ghalat hai tum us ki mazammat karo aur aawaz-e-haq bhi uthate raho
ji lo khud ke liye kuchh nahin faeda zindagi ka hai 'alam' yahi qa'eda
maqsad-e-zindagi hoga hasil tumhein dusron ke sada kaam aate raho

23475 viewsghazal • English