meri shohrat na tabiat na Thikana achchha

By ali-tasifJune 3, 2024
meri shohrat na tabi'at na thikana achchha
mere bare mein use kuchh na batana achchha
par to mujh ko du'aen bhi laga sakti hain
main samajhta hun magar tair ke jaana achchha


ghar to kachche the magar log bahut pakke the
ab bhi lagta hai wahi daur purana achchha
'ahd-e-rafta se meri jaan chhudane wale
dam-e-farda mein nahin mujh ko phansana achchha


wahi bohtan purane wahi ilzam qadim
dosto tum to mujhe do koi ta'na achchha
chhut ki tarah udasi meri lag jati hai
tum bahut khush ho kabhi pas na aana achchha


mere kandhe se ye banduq hata le is bar
ab laga phir se mere yar nishana achchha
kaun sa is ka asar hoga meri haalat par
lakh ho meri bala se ye zamana achchha


chup raha main to ghutan aur badhegi 'tasif'
warna lagta hai kise shor machana achchha
99526 viewsghazalEnglish