meri tanhai ke ejaz mein shamil hai wahi raqs mein hai dil-e-diwana ki mahfil hai wahi ye alag baat na wo tamkanat-ara hai na main hai chaman bhi wahi aur shor-e-anadil hai wahi wahi laila-e-sukhan ab bhi sarapa-e-tilism meri jaan ab bhi wahi hai ki mera dil hai wahi dasht-e-hairat mein wahi mera junun mahw-e-khiram aa ke dekho ki yahan garmi-e-mahfil hai wahi us mein jo dub gaya par utar jaega mauj-dar-mauj wo dariya hai to sahil hai wahi aaj bhi us ke mere bich hai duniya hail aaj bhi us ke mere bich ki mushkil hai wahi