meri tarah ka koi shaKHs mar gaya mujh mein

By akash-arshMay 30, 2024
meri tarah ka koi shakhs mar gaya mujh mein
tere wujud ka ehsas bhar gaya mujh mein
'ajib gard-e-rah-e-shauq jam gai lab par
'ajib zauq-e-safar sa thahar gaya mujh mein


kisi parind ki chikhon ne sang-bari ki
sukut-e-sham ka shisha bikhar gaya mujh mein
hawa-e-dard chali dil ki khidkiyan khatkin
makin-e-gosha-e-ummid dar gaya mujh mein


har ek samt teri yaad ka dhundalka hai
tere khayal ka suraj utar gaya mujh mein
talash-e-saut-o-sada mein kidhar gaya main 'arsh'
wo naghma-saz-e-khamoshi kidhar gaya mujh mein


46342 viewsghazalEnglish