meri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte sila to dur hai ehsan bhi nahin rakhte wo barkaton ke farishton ke intizar mein hain gharon mein apne jo quran bhi nahin rakhte jinhen khulus ki khushbu aziz hoti hai wo apni mez pe gul-dan bhi nahin rakhte wo hadson se daraate hain apne bachchon ko diyon ke samne tufan bhi nahin rakhte bade ajib musafir hain hum bhi ai 'hafiz' safar pe nikle hain saman bhi nahin rakhte