meri yaad mein tum na aansu bahana na ji ko jalana mujhe bhul jaana

By raja-mehdi-ali-khanMay 8, 2022
meri yaad mein tum na aansu bahana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
samajhna ki tha ek sapna suhana wo guzra zamana mujhe bhul jaana
juda meri manzil juda teri rahen milengi na ab teri meri nigahen
mujhe teri duniya se hai dur jaana na ji ko jalana mujhe bhul jaana


ye ro ro ke kahta hai tuta hua dil nahin hun main teri mohabbat ke qabil
mera nam tak apne lab pe na lana na ji ko jalana mujhe bhul jaana
84188 viewsghazalEnglish