meri zindagi ka hai inhisar gul-o-saman ke nikhaar par main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasl-e-bahaar par hai junun bhi chaak-e-qaba bhi hai wahi qaid-o-band ki sakhtiyan hai zamane bhar ke sitam rawa meri ek zat-e-figar par mera bagh khar-e-nigah-e-shab mera shahr sab ki nazar mein hai jo bala chali to thahar gai isi ek ujde dayar par rahi waqf-e-gham meri zindagi magar ek baat ki hai khushi ki meri hayat ka qafila chala samt-e-jalwa-e-yar par mera dil udas hai 'shad' zagh-o-zaghan ke shor ke darmiyan meri aankh chashma-e-khun hui hai chaman ki haalat-e-zar par