Meri Zindagi To Firaaq Hai<Br/><Br/> Meri Zindagi To Firaaq Hai

By January 1, 2017
Meri Zindagi To Firaaq Hai

Meri Zindagi To Firaaq Hai
Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi

Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon
Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi




Hamein Jaan Deni Hai Ek Din
Wo Kisi Tarah Wo Kahein Sahi

Hamein Aap Khinchein Daar Per
Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi




Sar-E-Toor Ho
Sar-E-Hashar Ho
Hamein Intizaar Qabool Hai

Wo Kabi Mile


Wo Kahin Mile
Wo Kabi Sahi
Wo Kahin Sahi


Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi


K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi

Mai Unhi Ka Tha
Mai Unhi Ka Hoon
Wo Mere Nahi To Nahi Sahi




Jo Ho Faisla Wo Sunaye
Use Hashar Per Na Uthaye

Jo Kareinge Aap Sitam Wahan
Wo Abhi Sahi


Wo Yahin Sahi


Useh Dekhne Ki Jo Loo Lagi
To 'NASEER' Dekh Hi Leinge Hum

Wo Hazar Aankh Se Door Ho


Wo Hazar Parda-Nasheen Sahi!

Translation:

Firaaq: Sepration
Nigah-E-Shoq: Eager Glance
Rag-E-Jaan: A Jugular Vein
Sar-E-Toor: Mount
3724 viewsghazalenglish