mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai

mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai
hans kar kaha ye hum ne ai jaan basant aai

sunte hi us pari ne gul gul shagufta ho kar
poshak-e-zar-fishani apni wahin rangai

jab rang ke aai us ke poshak-e-pur-nazakat
sarson ki shakh par kal phir jald ek mangai

ek pankhudi utha kar nazuk se ungliyon mein
rangat ko us ki apni poshak se milai

jis dam kya muqabil kiswat se apni us ko
dekha to is ki rangat us par hui siwai

phir to ba-sad-masarrat aur sau nazakaton se
nazuk badan pe apne poshak wo khapai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close