mila na kaun-o-makan mein to la-makan dekha par us ko dekha na us ka koi nishan dekha jo us mein dekha pareshan-o-khasta-jaan dekha zamin-e-kucha-e-qatil ko aasman dekha jab apne dil mein tera jalwa zau-fishan dekha na us mein phir gham-e-duniya ko mehman dekha har ashk-e-chashm ko to dil ka tarjuman dekha dam-e-gharib ko hi dil ka raaz-dan dekha uruj husn ko hasil hai ishq ke dam se jahan mein ishq ka phir bhi na qadr-dan dekha dil-azma hai zi-bas ishq ka zamana bhi qadam qadam pe mohabbat mein imtihan dekha shagufta hain gul-e-zakhm-e-jigar khizan mein bhi sada-bahaar khila dil ka bostan dekha wo tinke nazr hue barq-o-baad-e-sarsar ke asir jab se hue phir na aashiyan dekha hai dafn jo teri taswir-e-be-kasi 'jauhar' tere mazar pe hasrat ko nauha-khwan dekha