mile hain aankh ko manzar lahu mein Dube hue
By abdur-rauf-anjumMarch 27, 2021
mile hain aankh ko manzar lahu mein dube hue
tamam shahar ke patthar lahu mein dube hue
zarur aman ka paigham le gaya tha kahin
parinda lauta liye par lahu mein dube hue
adalat un ko hi mazlum kah ke chhod na de
hain jin ke hath mein khanjar lahu mein dube hue
palat ja teri zarurat hi kya hai a sailab
hain meri basti ke sab ghar lahu mein dube hue
wo surkh-ru hain wahi sar-bulandi hain 'anjum'
saje hain nezon pe jo sar lahu mein dube hue

42050 viewsghazal • English