mile jo tum se mila ek surur kya samjhe
By aarif-nazeerAugust 7, 2024
mile jo tum se mila ek surur kya samjhe
hamare dil ko hua hai ghurur kya samjhe
use ye zid ke tumhein roz milne aana hai
tumhaara 'uzr dil-e-na-sabur kya samjhe
hamein bhi shauq to jalwagari ka tha lekin
hamare hisse mein musa na tur kya samjhe
utara jaega mujh ko za'if zehnon par
thamai jaegi mujh ko zabur kya samjhe
chhupa ke sine mein apne tumhaara mom sa dil
kiya hai aag ka dariya 'ubur kya samjhe
maraz ana ka tumhein lag gaya abhi lekin
hamein bhi dhundoge ek din zarur kya samjhe
tumhaari did ne bakhshi nazar ko tabani
basa hai chaaron taraf nur nur kya samjhe
hamare yar ka takiya-kalam hai 'arif'
har ek baat pe kahna huzur kya samjhe

25791 viewsghazal • English