mili KHak mein mohabbat jala dil ka aashiyana

By shakeel-badayuniMay 9, 2022
mili khak mein mohabbat jala dil ka aashiyana
jo thi aaj tak haqiqat wahi ban gai fasana
ye bahaar kaisi aai jo khizan bhi sath lai
main kahan rahun chaman mein mera lut gaya thikana


mujhe rasta dikha kar mere karwan ko luta
idhar aa gale laga lun tujhe gardish-e-zamana
79396 viewsghazalEnglish