milta jo koi tukda is charkh-e-zabarjad mein paiwand laga deta main nafs-e-mujarrad mein bedari-e-furqat mein tha ramz qayamat ka jaga hun ki nind aae tariki-e-marqad mein is daftar-e-hasti mein talim bahut kam hai do harf nazar aae dibacha-e-abjad mein go khak ka putla hun lekin koi kya samjhe main bhi koi shai hun jo gardun hai meri kad mein hai zabt ki farmaish is dil se bahut beja ye qulzum-e-la-sahil kis tarah rahe had mein pahlu mein nahin dil to dil-soz hi aa jata ek shama to jal jati tariki-e-marqad mein nalon se ye kahta hun himmat se na dil haaren taron ne jagah kar li is lauh-e-zamurrad mein