misal-e-barg-e-shikasta hawa ki zad par hai

By ahmad-azeemFebruary 5, 2024
misal-e-barg-e-shikasta hawa ki zad par hai
koi charagh akela hawa ki zad par hai
aman dhund raha hai khula hua pani
mohabbaton ka jazira hawa ki zad par hai


karahti hain kisi ke firaq mein shamen
dil aisa ek shagufa hawa ki zad par hai
manaen khair kaho sahilon se aaj ki raat
subuk-khiram sa dariya hawa ki zad par hai


wafur-e-ranj-e-tamanna se bujhta jata hai
ki aaj mera hi chehra hawa ki zad par hai
faza mein ghulne lagin ghantiyon ki aawazen
kahin pe koi kalisa hawa ki zad par hai


labon pe dub rahi hain darud ki chikhen
dua ka band daricha hawa ki zad par hai
miti miti nazar aati hain aayaten ya rab
aqidaton ka sahifa hawa ki zad par hai


51640 viewsghazalEnglish