misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla

By
misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla
dil dhadakta hua pahlu se hamara nikla

‘ariz-e-yar pe zulfon ke bikhar jaane se
chand duba hua badli se dubara nikla

hasil-e-sahra-nawardi hai hamari wahshat
khak chhani to muqaddar ka sitara nikla

be-tuke jam pilae jo mujhe saqi ne
zabt ka bandh khula nam tumhaara nikla

tai-shuda sal mayassar thi jawani hum ko
kuchh baras thik so baqi mein khasara nikla

hum bhi sukhe hue talab ka hissa nikle
wo bhi pyasa kisi dariya ka kinara nikla

ab to allah se shikwa bhi nahin kar sakte
dil bhi kam-bakht taraf-dar tumhaara nikla

lakh behtar tha ki sine se lagate patthar
phul ke bhes mein aatish ka sharara nikla

'mehwar'-e-sabr pe ek sabr ki aayat padh kar
khinch kar jism se jaan jaan se pyara nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close