miTe hain jaise hum ek shaKHs ki KHushi ke liye

mite hain jaise hum ek shakhs ki khushi ke liye
mita na hoga koi is tarah kisi ke liye

kabhi kisi ke bharose pe jang mat karna
koi kisi se ulajhta nahin kisi ke liye

wo faiz uthata raha meri sada-lauhi ka
fareb khata raha main khud-agahi ke liye

gulon ka khil ke bikharna to amr-e-lazim hai
duaen mang dilon ki shaguftagi ke liye

ye aur baat patangon ko khak hona pada
charagh hum ne jalae the raushni ke liye

phir us ke baad tumhaara suragh kho baitha
thahar gaya tha main raste mein do ghadi ke liye

ulajh gae hain khud apne hi masalon mein 'shakil'
chune gae the hum auron ki rahbari ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close