miTi hazar tamanna ek aarzu ke liye

By munshi-banwari-lal-sholaSeptember 26, 2023
miti hazar tamanna ek aarzu ke liye
mila hun khak mein duniya ki aabru ke liye
hazar chahiyen dil ek aarzu ke liye
dimagh laun kahan se tumhaari bu ke liye


tumhaare dekhne wale khade hain chaar taraf
kidhar ko pheroge munh khatir-e-adu ke liye
uthai jati hain tul tul ke tegh hathon mein
chhatae jate hain khanjar mere gulu ke liye


khumar-e-hasti-e-na-paedar dekh chuka
chala hun josh mein phir saghar-o-subu ke liye
wo hath kya hai jo paband-e-jeb-o-daman ho
wo panw kya jo na ho teri justuju ke liye


khuli na zulf pe kuchh bhi meri pareshani
bana hazar zaban arz-e-mu-ba-mu ke liye
mila hai nutq-e-zaban ko ki tera zikr kare
zaban dahan ko mili teri guftugu ke liye


bana rahi hai nasim-e-bahaar marham-e-zakhm
sulajh rahe hain rag-e-gul mere rafu ke liye
bana gaya hamein diwana ek but-e-wahshi
junun hai 'shoala' kisi shauq-e-tund-khu ke liye


20511 viewsghazalEnglish