mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta ab is se ziyaada main tera ho nahin sakta dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne aankhen raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta bas tu meri aawaz se aawaz mila de phir dekh ki is shahr mein kya ho nahin sakta ai maut mujhe tu ne musibat se nikala sayyaad samajhta tha riha ho nahin sakta is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de wahan bhi kya itna karam baad-e-saba ho nahin sakta peshani ko sajde bhi ata kar mere maula aankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta darbar mein jaana mera dushwar bahut hai jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta