mitti tha main khamir tere naz se utha phir haft-asman meri parwaz se utha insan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho ye jab utha zamir ki aawaz se utha subh-e-chaman mein ek yahi aaftab tha is aadmi ki lash ko eazaz se utha sau kartabon se likhkha gaya ek ek lafz lekin ye jab utha kisi eajaz se utha ai shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil ye teri sar-zamin hai qadam naz se utha main puchh lun ki kya hai mera jabr o ikhtiyar ya-rab ye masala kabhi aaghaz se utha wo abr shabnami tha ki nahla gaya wajud main khwab dekhta hua alfaz se utha shaer ki aankh ka wo sitara hua 'alim' qamat mein jo qayamati andaz se utha