miyan do chaar din ki ye hamari zindagani hai

By abdullah-minhaj-khanAugust 28, 2024
miyan do chaar din ki ye hamari zindagani hai
yahan zinda rahega kaun sab ko maut aani hai
nahin hai pyar ke laiq koi bhi is zamane mein
main khud se pyar karta hun meri bhi ek kahani hai


andheri qabr mein ban jaegi wo nur ki qindil
hamare dil ke andar jo kitab-e-asmani hai
safar mein hain sab ek muddat se manzil tak nahin pahunche
yahi sachchai hai is ki ye duniya aani-jaani hai


jo us ne jate jate di thi hum ko ek din 'minhaj'
hamare pas ab bhi wo mohabbat ki nishani hai
31908 viewsghazalEnglish