mizaj apne kahan aaj hain thikane par huzur aae hain mere gharib-khane par pighal rahi hai musalsal jo barf aankhon se ajib dhup hai palkon ke shamiyane par na jaane aa gae kyun us ki aankh mein aansu jo hans raha tha mere dard ke fasane par zara si samt badal li jo apni marzi se to naw aa gai tufan ke nishane par khuda bacha ke rakhe 'mina' us ghadi se hamein ki baat thahre kabhi us ke aazmane par