mizaj-e-sahl-talab apna ruKHsaten mange

By abdul-ahad-saazApril 22, 2024
mizaj-e-sahl-talab apna rukhsaten mange
sabaat-e-fan magar ai dil azimaten mange
ufuq pe husn-e-ada ke tulu-e-mehr-e-khayal
faza-e-sher sahar ki latafaten mange


musir hai 'aql ki mantiq mein aae uqda-e-jaan
qadam qadam pe magar dil bashaaraten mange
nai udan ko kam hain ye zauq ke shahpar
nai hawaon ka har kham zihanaten mange


shu'ur ke qad-o-qamat pe hai nazar kis ki
ye farba-chashm zamana jasamaten mange
nafis o sahl nahin waz-e-sher ki tadrij
har ek soch digar-gun si haalaten mange


sukun-e-tul-e-wafa hai talab ki kotahi
ki lams-e-yaad dhadakti jasaraten mange
shua-e-mehr se dhul jaen jaise mah o najm
tera khayal anokhi tahaaraten mange


na puchh 'saz' ko wo to sarab walon se
phire hai kasa-e-dil mein haqiqaten mange
90413 viewsghazalEnglish