mizaj rakhte ho shairana to pas aana

By ahmad-ayazFebruary 24, 2025
mizaj rakhte ho sha'irana to pas aana
sukhan-sarai ho mo’jizana to pas aana
tawil qurbat mein 'aib-jui ke masale hain
so dur rah kar ho pas aana to pas aana


farar hone ko meri yaadon ki dastaras se
na dhund pao koi bahana to pas aana
bharam hai tum ko tumhaare dar par khade milenge
jo meri rahon pe chal ke aana to pas aana


ki jhut makr-o-fareb se hai gurez mujh ko
jo baat karte ho munsifana to pas aana
khamosh dariya ke paniyon mein bhanwar hain kitne
agar ye chaho tum aazmana to pas aana


masarraton ne kaha tha hans kar 'ayaz' ek din
udasiyon se jab ub jaana to pas aana
50085 viewsghazalEnglish