moatabar hote hue jaan-soz afsane na the

By sirajuddin-sirajFebruary 6, 2022
mo'atabar hote hue jaan-soz afsane na the
log diwane the lekin itne diwane na the
un ke rukh se jab naqab utthi to khamoshi rahi
shama jab raushan hui mahfil mein parwane na the


ashk the har chand lekin zabt par qabu bhi tha
is tarah chhalke hue aankhon ke paimane na the
jis taraf nazren uthata hun udhar viraniyan
shahr se bahar to shayad itne virane na the


un ki mahfil mein chale jate magar mushkil ye thi
rahdari ke hamare pas parwane na the
hum mukhatib kis se hote kaun tha apna rafiq
log the mahfil mein lekin jaane pahchane na the


apni barbaadi ka zimma-dar thahraun kise
chaar jaanib apne hi apne the begane na the
dastan-e-gham ko sun kar yun hue wo shadman
aansuon mein jaise pinhan gham ke afsane na the


anjuman mein un ki hum jaane ko jate ai 'siraj'
un ke qabil jab hamare pas nazrane na the
90316 viewsghazalEnglish