moD aisa bhi mohabbat mein kabhi aaega

By sapna-jainFebruary 29, 2024
mod aisa bhi mohabbat mein kabhi aaega
dil mein rahta hai jo wo dil se utar jaega
yun to har zakhm mera sukh chuka hai lekin
yaad ke abr jo barse to ubhar aaega


sath rah jaenge yaadon ke nukile kante
mausam-e-wasl to lamhon mein guzar jaega
khil kabhi paegi kya dil ki kali dobara
kya ye sahra kabhi gulshan mein badal paega


hum hamesha ki tarah us ka yaqin kar lenge
wo hamesha ki tarah hum se mukar jaega
49390 viewsghazalEnglish