mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

By muztar-khairabadiNovember 10, 2020
mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai
hamari sari mehnat dhul-dhani hoti jati hai
hikayat hun jo raaton ko hamesha hoti rahti hai
shikayat hun jo aapas mein zabani hoti jati hai


tera gham aaj tak taza hai zalim warna duniya mein
nai shai din guzarne se purani hoti jati hai
tumhaari yaad mein ahl-e-jahan mar mar ke jite hain
qaza logon ke haq mein zindagani hoti jati hai


bada ilzam thahra hai talluq rishta-dari ka
qarabat ki mohabbat bad-gumani hoti jati hai
yahi tambih milne par unhen majbur karti hai
yahi takid goya zid ki bani hoti jati hai


mere gham mein wo majburi se un haalon ko pahunche hain
ki ab un ki nazakat na-tawani hoti jati hai
tere kuche mein ab gardish ki surat padti jati hai
zamin ki chaal daur-e-asmani hoti jati hai


mere pahlu mein dil kab tha lahu ki bund thi 'muztar'
so ab wo bund bhi qismat se pani hoti jati hai
89005 viewsghazalEnglish