mohabbat ka gulshan sajaane lage hain

By aman-musafirJune 30, 2021
mohabbat ka gulshan sajaane lage hain
hum apni wafa ko nibhane lage hain
uthi thi jo diwar nafrat ki dil mein
use rafta rafta girane lage hain


jhuka kar jo nazren the khamosh baithe
wahi dard apna batane lage hain
jinhen pyar ke phul hum ne the bheje
wahi dil pe khanjar chalane lage hain


khabar jin ko aibon ki apne nahin hai
wahi mujh pe tohmat lagane lage hain
unhen kah raha hai zamana ye joker
jo ro kar ke sab ko hansane lage hain


mile hain wo jab se 'musafir' na jaane
mujhe dekh kar muskurane lage hain
89455 viewsghazalEnglish