mohabbat ka kisi surat koi pahlu nahin nikle
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
mohabbat ka kisi surat koi pahlu nahin nikle
siyasat chahti hai phul se khushbu nahin nikle
suna hai dard ghat jata hai jab insan rota hai
magar wo kya karen jis ke kabhi aansu nahin nikle
na jaane maslahat ki kaun si chadar mein lipte hain
andhera badh gaya lekin abhi jugnu nahin nikle
mohabbat ke musafir ko tarasti hi rahi basti
kabhi sufi nahin nikle kabhi sadhu nahin nikle
thakan se chur ho kar gir gaya bistar pe main apne
magar ab tak teri taswir se bazu nahin nikle

97956 viewsghazal • English