mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar

By jurm-mohammadabadiMarch 9, 2021
mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar
mere dil ka yaqin ho kar tere dil ka guman ban kar
kare shukr-e-mohabbat mera har ruyan zaban ban kar
agar tum bich mein aa jao shart-e-imtihan ban kar


ye kis ki rah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat
ajal khidmat ko aai hai hayat-e-jawedan ban kar
jhatakta jaega un ko zamana apne daman se
jo kuchh bhi rah gae pichhe ghubar-e-karwan ban kar


zamane ki hawa ka rukh badal jaana muqaddar hai
yahi tinke qafas honge bisat-e-ashiyan ban kar
na ho jab thokaren khane pe bhi ehsas-e-bedari
na tuten dil pe kyon nakaamiyan barq-e-tapan ban kar


nahin jab naqsh-e-awwal ki tarah rang-e-baqa tujh mein
zarurat kya hai rahne ki nishana le nishan ban kar
faza pur-kaif ban kar chha gai ghunchon ki ranai
chaman mein kaun aata hai bahaar be-khizan ban kar


zamin ki tarah jab hasil hai qudrat burdbari ki
rahun ai 'jurm' kyon gardish mein nahaq aasman ban kar
67335 viewsghazalEnglish