mohabbat ko riya ki qaid se aazad karna hai hamein phir aarzuon ka nagar aabaad karna hai shikast-e-fash deni hai man-o-tu ke rawayyon ko marasim ki bahaali ka hunar ijad karna hai ye kya jabr-e-talluq hai ki phir tere hawale se kisi ko bhul jaana hai kisi ko yaad rakhna hai guzishta ahd mein bhi jurm tha ye kar-e-haq-goi hamari nasl ko bhi ye ba-sad uftad karna hai kai digar hawale bhi surur-o-rahat-e-dil hain gae mausam ki nisbat se tumhein bhi yaad karna hai hamare sher agar jazbon ko khushbu de nahin sakte to phir to sher kahna waqt ko barbaad karna hai