mohabbat ma-siwa ki jis ne ki gori kaloti ki yaqin kijo ki kafir ho ke apni rah khoti ki mohabbat ma-siwa allah ki har kufr se bad-tar faqiron ne qanaat tab to barsili langoti ki qanaat ka khazina gar kisi ke hath lag jawe nahin parwah rakhta hai kisi sarraf soti ki dil-e-qane ke tain nan-e-jawin khush-tar ze-tar-halwa nahin ho ehtiyaj us ko pulaw gosht roti ki jigar khane mein apne faeda az-bas, tu kya jaane wo jaane chashni chakkhi ho jis ne dil ki boti ki tan-e-laghar ba-rah-e-ishq behtar hai bacha la ke kiya muzghe ne kya hasil agarche shakl moti ki ab is duniya mein duniya chhod kar rahna hi behtar hai kahani thi badi lek 'afridi' ne to chhoti ki