mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai jo dil mein hai use aankhon se kahlana zaruri hai usulon par jahan aanch aae takrana zaruri hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai nai umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhae kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai thake-haare parinde jab basere ke liye lauten saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai bahut bebak aankhon mein ta'alluq tik nahin pata mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaruri hai saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai mere honton pe apni pyas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya mein kuchh pana zaruri hai