mohabbat se junun ki dastan tak aa gaya hun main

By balbir-rathiJanuary 2, 2024
mohabbat se junun ki dastan tak aa gaya hun main
kisi ke 'ishq mein dekho kahan tak aa gaya hun main
ye rahen khud-bakhud kaise munawwar ho uthin ya-rab
guman hota hai manzil ke nishan tak aa gaya hun main


kise ma'lum tha jazbaat ye bhi rang laenge
junun mein ab kisi ke imtihan tak aa gaya hun main
kabhi ek dard ban kar sirf un ke dil mein pinhan tha
magar ab git ban kar har zaban tak aa gaya hun main


nahin wo baat hi kuchh aur thi jis ki tamanna thi
yun hi jazbaat ki rau mein yahan tak aa gaya hun main
tumhaari in hasin makhmur aankhon ki qasam hamdam
wahin tak rah-e-ulfat hai jahan tak aa gaya hun main


kahin manzil se aage hi na aa pohncha hun main yaro
zara aawaz do mujh ko kahan tak aa gaya hun main
tamanna hai ufuq ke dhundle parde chaak kar dalun
kisi ki justuju mein ab yahan tak aa gaya hun main


28755 viewsghazalEnglish