mohabbaton mein bhi thoDa adab zaruri tha

By sonia-aks-sonamJanuary 5, 2024
mohabbaton mein bhi thoda adab zaruri tha
phir us ke ba'd mein jo kuchh tha sab zaruri tha
main kah rahi thi ki insaniyat zaruri thi
wo kah raha tha ki nam-o-nasab zaruri tha


tamam 'umr raha yun to saya ban ke magar
wo tab nahin tha mere pas jab zaruri tha
main warna dekh nahin pati us ko jate hue
diye bujhana judai ki shab zaruri tha


hamein bhi rog mohabbat ka lag gaya tha huzur
hamara hona bhi phir jaan-ba-lab zaruri tha
mujhe zaruri tha wo shakhs aise hi 'sonam'
ki jaise duniya mein bandon ko rab zaruri tha


49528 viewsghazalEnglish