mohabbaton mein jo miT miT ke shahkar hua

By ibrahim-ashkOctober 31, 2020
mohabbaton mein jo mit mit ke shahkar hua
wo shakhs kitna zamane mein yaadgar hua
teri hi aas mein guzre hain dhup chhanw se hum
teri hi pyas mein sahra bhi khush-gawar hua


na jaane kitni bahaaron ki de gaya khushbu
wo ek badan jo hamare gale ka haar hua
tumhaare baad to har ek qadam hai ban-bas
hamara shahr ke logon mein kab shumar hua


khud apne aap se lena tha intiqam mujhe
main apne hath ke patthar se sangsar hua
ye ek jaan bhi leta hai 'ashk' qiston mein
zara sa kaam bhi us se na ek bar hua


73181 viewsghazalEnglish