mohabbaton mein kabhi ye asar nazar aae wo ek bar dikhe umr bhar nazar aae jo sar jhukaun to pairon mein bediyan dekhun jo sar uthaun to neze pe sar nazar aae sukun dhundte thak jaun aur aakhir-kar wo tang galiyon mein mitti ka ghar nazar aae na manzilon ka pata hai na raston ki khabar bhatakti aankhon ko ab rahbar nazar aae yahi to nauha hai furqat-zada in aankhon ka payam-e-yar mile nama-bar nazar aae tabhi to manun ki han us ko bhi mohabbat hai jab us ki aankhon mein furqat ka dar nazar aae mujh aisa bazm mein koi to sar-ba-zanu ho in hanste chehron mein ek chashm-e-tar nazar aae